Naa Kangana Ne Kuchh Kaha
Naa Payal Ne Shor Machaya Kabhi
Yeh Jhumke Khushi Se Jhum Rahe
Raat Milan Ki Jo Aayi Abhi
Hai Pehle Se Zyada Roshan
Hawaayein Bhi Lekar Jo Aayi
Hai Khushiyon Ki Saugaatein
Mujhe Aaj Sajaana Is Kadar
Meri Sakhiyon, Milungi Main Aaj Unse
Saat Janam Ka Saath Yeh Hoga
Ki Unse Nazrein Jab Bhi Milengi
Lengi Khushiyaan Bhi Angdaiyaan
Likh Do Mehendi Se Haathon Mein Naam Unka
Meri Sakhiyon, Milungi Main Aaj Unse
Saat Janam Ka Saath Yeh Hoga
Ki Unse Nazrein Jab Bhi Milengi
Main Sapne Poore Kar Doon
Main Teri Maang Mein Aaja
Yeh Saare Taare Bhar Doon
Tere Haathon Mein De Karke Haath
Saat Janmon Ka Hai Apna Saath
Jodkar Naam Apna Main Saath Mein Tere
Baandh Loon Rishta Janmon Ka Saath Mein Tere
Meri Sakhiyon, Milungi Main Aaj Unse
Saat Janam Ka Saath Yeh Hoga
Ki Humse Nazrein Jab Bhi Milengi
Saat Janam Ka Saath Yeh Hoga
Ki Unse Nazrein Jab Bhi Milengi